Hazrat QAMAR RAZA علیہ الرحمہ

Hazrat QAMAR RAZA  علیہ الرحمہ

You may also like

misri banda club
misri banda club

کام وہ لے لیجئے تم کو جو راضی کریں
ٹھیک ہو نام ۔رضا۔ تم پہ کروڑوں درود

Huzoor Qamarul ulama Hazrat Allama Dr Muhammed Qamar Raza Khan Qadri ALAIHIR Rahma, He is one of the most powerful Sufi And Islamic Scholar And Grand Son of A,ala Hazrat Mujad,did Imaam Ahmad Raza Khan Qadri ALAIHIR Rahma Barely Shareef UP INDIA

04/05/2024

I have reached 2.5K followers! Thank you for your continued support. I could not have done it without each of you. 🙏🤗🎉

24/01/2024
24/01/2024

Tabarak Ki Asl Kya Hai, Usmein Kya Hota Hai Aur Use Kaun Khaaye

مسئلہ ۲۲۵ : از شہر محلہ گلاب نگر، ۱۹ رجب ۱۳۲۷ ھـ تبارک جو کیا جاتا ہے اس کی اصل کیا ہے اور کس شیئ پر ادا کیا جانا افضل ہے، جس شیئ پر پڑھا جائے وہ شیئ اگر کھانے کی ہے تو کس کو کھلانا بہتر زیادہ ہے، اس کا جو رواج ہے اس سے جناب خوب واقف ہیں اس کی تشریح کی ضرورت نہیں ۔ بینوا توجروا ـ

الجواب : تبارک کی اصل ایصال ثواب ہے جس کا حکم احادیث کثیرہ میں ہے اور خاص سورہ تبارك الذی شریف کی تخصیص اس لئے کہ صحیح حدیثوں میں اسے عذاب قبر سے بچانے والی، نجات دینے والی فرمایا، جس شئے پر کرتے ہیں محتاج کی حاجت روائی زیادہ ہو اس میں زیادہ ثواب ہیں، ایام قحط میں کھانے پر ہونا زیادہ مناسب ہے، فقیر کے یہاں کھانے پر ہوتی ہے، کپڑے کے جوڑوں، کھبی روپیوں پر موافق حالت برادران مساکین مسلمین کے جو مناسب سمجھا گیا، کیا جاتا ہے، کھانا ہو یا کپڑے یا دام دنیا سب سے پہلے اپنے عزیزوں، قریبوں کا حق ہے جو حاجتمند ہوں پھر ہمسایوں پھر یتیم، بیوہ، مسکین مسلمانان اہل شہر کا ـ و ﷲ تعالٰی اعلم ـ

العطایا النبویہ فی الفتاوی الرضویہ، جـ 4/12، صـ 208-209 و جـ 9/30، صـ 615 ـ

Photos from ‎Hazrat QAMAR RAZA  علیہ الرحمہ‎'s post 23/01/2024
25/12/2023

- 2 of 2

Agar Koi Us Nukte Se Ghaafil Hokar Jisse Aaj Bade Bade Leader Banne Wale Aur Tamaam Awaam Ghaafil Hain K Shara' Mein Tareekh E Qamari Mo'tabar Hai Na K Shamsi, Ulama Ne Farmaya Apne Muamlaat Mein Bhi Musalmanon Ko Uske Aitibaar Ki Ijazat Nahin.
قال ﷲ تعالیٰ اِنَّ عِدَّۃَ الشُّھُوْرِ عِنْدَ اللّٰهِ اِثْنَا عَشَرَ شَھَرََا فِیْ کِتَابِ اللّٰهِ یَوْمَ خَلَقَ السَمٰوٰتِ وَ الْاَرضَ مِنْھَا اَربَعَةٌ حُرُمٌ ذٰلِكَ الدِیْنُ القَیِمُ ۔
Use Roz E Wiladat E Maseeh Alaihis Salaato Was Salaam Jaankar Ba Niyat E Ta'zeem E Nubuvat Na K Ba Niyat E Tashabbha E Nasaara Ta'zeem Kare Woh Hargiz Holi Deewali Ki Ta'zeem Misl Nahin Ho Sakta K Woh Is Ghaflat E Nukta Ke Baais Ghalati Huyi Aur Yeh Kufr Hai. Tanveerul Absaar Mein Hai,
الاعطاء باسم النیروز و المهرجان لا یجوز و ان قصد تعظیمه یکفر ـ
Phir Daali Walon Ki Niyat Ba Wajah E Saltanat Khushamad Hoti Hai J**mein Kisi Na Kisi Wajah Par Awaam Ko Ibtila Hai Aur Khud Leader Banne Walon Ko Ab Tak Ya Aaj Se Pehle Kal Tak Tha Balki Ghina Ke Sabab Khushamad Musalman Umara Ke Saath Kab Rawa Hai,
من تواضع لغنی لاجل غناہ ذہب ثلث دينه ـ
Isse Bachte Hain To Wahi Bachte Hain Jinko ALLAH Azza Wa Jalla Ne Ne'mat E Zuhd Wa Qana'at Wa Majanibat E Umara Ata Farmayi Hai,
وَ قَلِیْلٌ مَّاھُمْ ـ
Yoon Bhi Taha'if E Holi Diwali Najaiz Tar Hain K Bila Wajah Kuffar Ki Taraf Mel Hain Khusoosan Jab Us Ittihad E Mal'oon Ke Sabab Hon Jiski Aag Ne Aaj Mushta'il Hokar Un Logon Ka Deen Yaksar Phoonk Diya.

العطایا النبویہ فی الفتاوی الرضویہ، جـ 21/30، صـ 264-266 ـ

25/12/2023

- 1 of 2

115 : Az Badaun Mursalahu Abdul Majid Az Naam Habeebur Rehman, 12 Rajab 1339 Hijri _____ Bade Din Mein Nasaara Ko Daali Dena Haraam Hai Ya Nahin.

: Bade Din Ka Hukm Party Ke Jigri Bhaiyon Ki Holi Diwali Se Khafeef Tar Hai Aur Maathon Par Hinduon Se Qashqe Lagwana Sabse Sakht Tar. Agar Saabit Ho K Yeh Din Wiladat E Sayyiduna Easa Alaihis Salaato Was Salaam Ka Hai To Beshak Shara' Mein Har Nabi Ka Roz E Wiladat Sahib E Azmat Hai. Rasool ULLAH SalALLAHU Ta'ala Alaihi Wasallam Ne Wujooh E Fazeelat E Roz E Jumu'ah Se Pehli Wajah Yehi Irshad Farmayi K Ismein Takhleeq E Sayyiduna Aadam Alaihis Salaato Was Salaam Huyi. Sahih Muslim Mein Abu Huraira Radi ALLAHU Ta'ala Anhu Se Hai Rasool ULLAH SalALLAHU Ta'ala Alaihi Wasallam Ne Farmaya,
خیر یوم طلعت علیه الشمس یوم الجمعة فيه خلق اٰدم الحدیث ـ
Ibn E Maajah Ne Abu Lubaba Ibn E Abdul Munzir Radi ALLAHU Ta'ala Anhu Se Rivayat Ki Rasool ULLAH SalALLAHU Ta'ala Alaihi Wasallam Ne Farmaya,
ان یوم الجمعة سید الایام و اعظمها عند ﷲ تعالیٰ فيه خمس خصال خلق ﷲ فيه اٰدم ۔

العطایا النبویہ فی الفتاوی الرضویہ، جـ 21/30، صـ 264-

07/08/2023

-18

KHUDA Jane In Achchi Soorat Walon Ki Adaon Mein Kis Qiyamat Ki Kashish Rakhi Gayi Hai, Yeh Jise Ek Nazar Dekh Lete Hain Woh Har Taraf Se Tootkar Inhin Ka Ho Rehta Hai Phir Yaron Se Yaari Rehti Hai Na Zan Wa Farzand Ki Paasdaari. Aakhir Yeh Wahi Zuhair To Hai Jo Maula Ali Se Kadoorat Rakhte Aur Raat Ko Imam Se Alaihada Theharte The, Yeh Unhein Kya Ho Gaya Aur Kiski Ada Ne Baaz Rakha Jo Azeezon Ka Saath Chhorh, Aurat Ko Talaq Dene Par Majboor Hokar Bekasi Se Jaan Dene Aur Museebatein Jhelkar Shaheed Hone Ko Aamada Ho Gaye.
Ab Yeh Qaafila Aur Badha To Ibn E Ash’as Ka Bheja Hua Aadmi Mila Jo Hazrat Muslim Ki Wasiyat Par Amal Karne Ki Gharaz Se Bheja Gaya Tha, Usse Hazrat Muslim Ki Shahadat Ki Khabar Ma’loom Hone Par Baaz Saathiyon Ne Imam Ko Qasam Di K Yahin Se Palat Chaliye, Muslim Shaheed Ke Azeezon Ne Kaha, “Hum Kisi Tarah Nahin Palat Sakte Ya To Khoon E Nahaq Ka Badla Lenge Ya Muslim Marhoom Se Ja Milenge” Imam Ne Farmaya, “Tumhare Baa’d Zindagi Bekaar Hai” Phir Jo Log Rah Mein Saath Ho Liye The Unse Irshad Kiya, “Koofiyon Ne Humein Chhorh Diya, Ab Jiske Jee Mein Aaye Palat Jaye, Humein Kuchh Nagawar Na Hoga” Yeh Is Gharaz Se Farma Diya Log Yeh Samajhkar Humrah Huye The K Imam Aisi Jagah Tashreef Liye Jate Hain Jahan Ke Log Dakhil E Bai’at Ho Chuke Hain. Yeh Sunkar Siwa Un Chand Bandagan E KHUDA Ke Jo Makkah Muazzama Se Humrah E Rikab Sa’adat M’aab The, Sab Apni Apni Rah Gaye. Phir Ek Aur Arabi Mile, Arz Ki K “Ab Tegh Wa Sinan Par Jana Hai, Aapko Qasam Hai Wapas Jaiye” Farmaya, “Jo KHUDA Chahta Hai Hokar Rehta Hai”

Hazrat Hur Radi ALLAHU Ta’ala Anhu Ki Aamad

Ab Imam Aali Maqam Mauza E Sharaaf Se Aage Badhe Hain, Yeh Dopahar Ka Waqt Hai, Yakayak Ek Sahib Ne Baland Aawaz Se ALLAHU Akbar Kaha, Farmaya, “Kya Hai” Kaha, “Khajoor Ke Darakht Nazar Aate Hain” Qabila Bani Asad Ke Do Shakhson Ne Kaha, “Is Zameen Mein Khajoor Kabhi Na The” Farmaya, “Phir Kya Hai” Arz Ki, “Sawar Ma’loom Hote Hain” Farmaya, “Mera Bhi Yehi Khyal Hai, Achcha To Yahan Koi Panah Ki Jagah Hai K Use Hum Apni Pusht Par Lekar Itminan Ke Saath Dushman Se Muqabila Kar Sakein” Kaha, “Haan! Koh E Zu Hasam, Agar Huzur Unse Pehle Us Tak Pahunch Gaye” Yeh Baatein Ho Hi Rahi Thin K Sawar Nazar Aaye Aur Imam Sabqat Farmakar Pahad Ke Paas Ho Liye, Jab Woh Aur Qareeb Aaye To Ma’loom Hua K Hur Hain Jo Ek Hazar Sawaron Par Afsar Banakar Imam Ko Ibn E Ziyad Bad Nihad Ke Paas Le Jane Ke Liye Bheje Gaye Hain, Is Theek Dopahar Mein As’haab E Imam Ke Saamne Utre. Malik E Kausar Ke Bete Ne Hukm Diya K “Inhein Aur Inke Ghodhon Ko Paani Pilao” Humrahiyan E Imam Ne Paani Pilaya.

آئینہ قیامت، صـ 40-42 ـ

07/08/2023

- 17

Jab Imam Ke Bhai Muhammed Ibn E Hanfiya Ko Rawangi Imam Ki Khabar Pahunchi, Tasht Mein Wuzu Farma Rahe The Is Qadar Roye K Tasht Aansuon Se Bhar Diya. Imam Thodi Door Pahunche Hain Farazdaq Sha’ar Koofe Se Aate Mile, Koofiyon Ka Haal Poochha, Arz Kiya, “Ae Rasool ULLAH SalALLAHU Ta’ala Alaihi Wa Aalihi Wasallam Ke Jigar Paare! Unke Dil Huzur Ke Saath Hain Aur Unki Talwarein Bani Umayya Ke Saath, Qaza Aasman Se Utarti Hai Aur KHUDA Jo Chahta Hai Karta Hai”
Gharaz Idhar To Imam Rawana Huye, Udhar Ibn E Ziyad Bad Nihad Baani E Fasaad Ko Yeh Khabar Pahunchi, Qaadsiya Se Khafan Wa Koh E La’la’ Aur Qatqatana Tak Fauj Se Nakabandiyan Kara Di(n) Aur Qiyamat Tak Musalamanon Ke Dilon Ko Ghayal Karne Aur Kalejon Mein Ghao Mein Daalne Ki Bunyad Daal Di. Imam Mazloom Ne Qais Ibn E Mus’har Ko Apni Tashreef Aawari Ki Ittila’ Dene Koofa Bheja, Jab Yeh Marhoom Qaadsiya Pahunche, Ibn E Ziyad Ke Sipahi Giraftar Karke Us Khabees Ke Paas Le Gaye, Us Mardood Ne Kaha, “Agar Jaan Ki Khair Chahte Ho To Is Chhat Par Charhkar Husain Ko Gaaliyan Do” Yeh Sunkar Woh Khandan E Nubuvat Ka Fidai, Ahlebait E Risalat Ka Shaidai Chhat Par Gaya Aur ALLAH Tabarak Wa Ta’ala Ki Hamd Wa Sana Ke Baa’d Baland Aawaz Se Kehne Laga, “Husain! Aaj Tamaam Jahan Se Afzal Hain, Rasool ULLAH SalALLAHU Ta’ala Alaihi Wa Aalihi Wasallam Ki Sahibzadi Fatima Zehra Ke Kaleje Ke Tukde Hain, Maula Ali Ki Aankhon Ke Noor, Dil Ke Suroor Hain, Main Unka Qaasid Hoon, Unka Hukm Maano Aur Unki Ita’at Karo” Phir Kaha, “Ibn E Ziyad Aur Uske Baap Par La’nat” Aakhirkaar Us Mardak Ne Jalkar Hukm Diya K Chhat Se Girakar Shaheed Kiye Jayein. Us Waqt Us Baada E Matwale Ka Beqaraar Dil Imam Arsh Maqam Ki Taraf Munh Kiye Iltija Ke Lehje Mein Arz Kar Raha Hai,
بجرم توام مے کشند غوغائیست ـــ تو تیز بر سر بام آ کہ تماشائیست
Imam Mazloom Aage Badhe To Rah Mein Zuhair Ibn E Qain Bajli Mile, Woh Haj Se Wapas Aate The Aur Maula Ali Se Kuchh Kadurat Rakhte The, Din Bhar Imam Ke Saath Rehte, Raat Ko Alaihada Theharte. Ek Roz Imam Ne Bula Bheja, Ba Karahat Aaye, KHUDA Jaane Kya Farma Diya Aur Kis Ada Se Dil Chheen Liya K Ab Jo Wapas Aaye To Apna Asbaab Imam Ke Asbaab Mein Rakh Diya Aur Saathiyon Se Kaha, “Jo Mere Saath Rehna Chahe, Rahe Warna Yeh Mulaqat Pichhli Mulaqat Hai” Phir Apna Samaan Le Aane Aur Imam Ke Saath Ho Jane Ka Sabab Bayan Kiya K Shahar Balanjar Par Humne Jihad Kiya, Woh Fat’h Hua, Kaseer Ghanimaton Ke Milne Par Hum Bahut Khush Huye, Hazrat Salman Farsi Ne Farmaya, “Jab Tum Jawanan E Aal E Muhammed SalALLAHU Ta’ala Alaihi Wasallam Ke Sardar Ko Pao To Unke Saath Dushman Se Ladne Par Isse Zyada Khush Hona” Ab Woh Waqt Aa Gaya, Main Tum Sabko Supurd E Ba KHUDA Karta Hoon Phir Apni Biwi Ko Talaq Dekar Kaha, “Ghar Jao, Main Nahin Chahta K Mere Sabab Se Tumko Nuqsan Pahunche”

آئینہ قیامت، صـ 38-40 ـ

07/08/2023

- 16

AbdULLAH Ibn E Abbas Phir Aaye Aur Kaha, “ Bhai! Sabr Karna Chahta Hoon Magar Sabr Nahin Aata, Mujhe Is Rawangi Mein Aapke Shaheed Hone Ka Andesha Hai, Iraqi Bad Ahad Hain, Unhone Aapke Baap Ko Shaheed Kiya, Aapke Bhai Ka Saath Na Diya, Aap Ahle Arab Ke Sardar Hain, Arab Hi Mein Qiyam Rakhiye Ya Iraqiyon Ko Likhiye K Woh Ibn E Ziyad Ko Nikaal Dein, Agar Aisa Ho Jaye Tashreef Le Jaiye Aur Agar Tashreef Hi Le Jana Hai To Yemen Ka Qasd Farmaiye K Wahan Qile’ Hain, Ghaatiyan Hain, Woh Mulk Wasee’ Zameen Rakhta Hai” Farmaya, Bhai! KHUDA Ki Qasam! Main Aapko Naseh Mushfiq Janta Hoon Magar Main Irada E Musammam Kar Chuka” Arz Ki, “To Bibiyon Aur Bachchon Ko Saath Na Le Jaiye” Yeh Bhi Manzoor Na Hua. AbdULLAH Ibn E Abbas Haye Pyare! Haye Pyare! Kehkar Rone Lage. Isi Tarah AbdULLAH Ibn E Umar Ne Mana’ Kiya, Na Mana, Unhone Peshani Mubarak Par Bosa Dekar Kaha, “Ae Shaheed Hone Wale! Main Tumhein KHUDA Ko Saunpta Hoon” Yoon Hi AbdULLAH Ibn E Zubair Ne Roka, Farmaya, “Maine Apne Walid Majid Se Suna Hai K Ek Mendhe Ke Sabab Se Makkah Ki Behurmati Ki Jayegi, Main Pasand Nahin Karta K Woh Mendha Main Banun”
Jab Rawana Ho Liye, Rah Mein Aapke Chachazaad Bhai Hazrat AbdULLAH Ibn E Hazrat Ja’far Tayyar Ka Khat Mila, Likha Tha, “Zara Thehariye Main Bhi Aata Hoon”
Hazrat AbdULLAH Ne Amr Ibn E Sa’eed, Hakim E Makkah Se Imam Mazloom Ke Liye Ek Khat “Amaan Aur Wapas Bulane Ka” Manga, Unhone Likh Diya Aur Apne Bhai Yahya Ibn E Sa’eed Ko Wapas Laane Ke Liye Saath Kar Diya, Donon Hazir Aaye Aur Sar Se Paon Tak Gaye K Wapas Tashreef Le Chalein, Maqbool Na Hua. Farmaya, “Maine Rasool ULLAH SalALLAHU Ta’ala Alaihi Wa Aalihi Wasallam Ko Khwab Mein Dekha Hai Aur Mujhe Ek Hukm Diya Gaya Hai Uski Ta’meel Karunga, Sar Jaye Khwah Rahe” Poochha Woh Khwab Kiya Hai. Farmaya, “Jab Tak Zinda Hoon Kisi Se Na Kahunga” Yeh Farmakar Rawana Ho Gaye.
Nazm
Sabne Arz Ki K Shehzada E Haider Mat Ja
Ae Husain Ibn E Ali, Sibt E Payamber Mat Ja
Sadme Wa(n) Pahunche Ali Aur Hasan Ko Kya Kya
Jana Koofa Ka To Hargiz Nahin Behtar Mat Ja
Haqnuma Aaina Hai Rukh Tera, Andhe Hain Wahi
Le Ke Andhon Mein Yeh Aaina Sikander Mat Ja
Sang E Bara(n) Se Bacha Jaam E Bilori(n) Apna
Aise Logon Mein Jo Patthar Se Hain Badtar Mat Ja
Gul E Shadab E Nabi Apne Chaman Se Na Nikal
Nazneen Phool Hai Tu Kanton Ke Andar Mat Ja
Chalte Hain Sarsar E Aafat Ke Muzlim Jhonke
Shama’ Roo Qila’ E Fanoos Se Bahar Mat Ja
Bu Sa’eed, Ibn E Umar, Jabir Wa Ibn E Abbas
Tha Yehi Kalima Sab As’haab Ke Lab Par Mat Ja
‘Bedil’ Us Shah Ko Maqtal Mein Qaza Le Hi Gayi
Kehte Sab Reh Gaye Ae Deen Ke Sarwar Mat Ja

آئینہ قیامت، صـ 36-38 ـ

07/08/2023

- 15

Aur Agar Kisi Waqt Hajiyon Ke Jamao Ki Taraf Hasrat Se Dekhte Aur Haj E Nafl Ke Faut Hone Par Izhar E Afsos Bhi Karte Hain To Taqdeer Zaban E Haal Se Keh Uthti Hai K “Husain! Tum Ghumgeen Na Ho Agar Is Saal Haj Na Karne Ka Afsos Hai To Maine Tumhare Liye Haj E Akbar Ka Samaan Muhaiya Kiya Hai Aur Kamar E Shauq Par Daman E Himmat Ka Mubarak Ehraam Chust Baandho, Agar Hajiyon Ki Sai Ke Liye Makkah Ka Ek Naala Muqarrar Kiya Gaya Hai To Tumhare Liye Makkah Se Karbala Tak Wasee’ Maidan Maujood Hai, Haji Agar Zamzam Ka Paani Piyein To Tumhein Teen Din Pyasa Rakhkar Sharbat E Deedar Pilaya Jayega K Piyo To Khoob Sairab Hokar Piyo, Haji Baqar Eid Ki 10vin Ko Makkah Mein Janwaron Ki Qurbaniyan Karenge To Tum Muharram Ki 10vin Ko Karbala Ke Maidan Mein Apne God Ke Paalon Ko Khaak Wa Khoon Mein Tadapta Dekhoge, Hajiyon Ne Makkah Ki Rah Mein Maal Sarf Kiya Hai, Tum Karbala Ke Maidan Mein Apni Jaan Aur Umr Bhar Ki Kamayi Luta Doge, Hajiyon Ke Liye Makkah Mein Tajiron Ne Bazar Khola Hai, Tum Furaat Ke Kinare Dost Ki Khatir Apni Dukanein Khologe, Yahan Tajir Maal Farokht Karte Hain, Wahan Tum Jaanein Bechoge, Yahan Haji Khareed Farokht Ko Aate Hain, Tumhari Dukanon Par Tumhara Dost Jalwa Farmayega, Jo Pehle Hi Irshad Kar Chuka Hai,
إنَّ اللهَ اشْتَرٰى مِنَ الْمُؤْمِنِىْنَ أَنْفُسَهُمْ وَ أَمْوَالَهُمْ بِاَنَّ لَهُمُ الْجَنَّةَ ـ
Beshak ALLAH Ne Musalamanon Ki Jaanein Aur Maal Jannat Ke Badle Mein Mol Le Liye Hain.
Gharaz In Kaifiyaton Ne Kuchh Aisa Az Khud Rafta Bana Diya Hai K Imam Aali Maqam Ne Baqar Eid Ki 8vin Tareekh Ko Koofe Ka Qasd Farma Liya, Jab Yeh Khabar Mashhoor Huyi Umar Ibn E Abdur Rehman Ne Is Iraade Ka Khilaaf Kiya Aur Jane Se Mane’ Aaye, Farmaya, “Jo Honi Hai Hokar Rahegi” AbdULLAH Ibn E Abbas Ne Nihayat Aajizi Se Rokna Chaaha Aur Arz Ki, “Kuchh Dinon Ta’mmul Farmaiye Aur Intizar Kijiye, Agar Koofi Ibn E Ziyad Ko Qatl Kar Dein Aur Dushmanon Ko Nikaal Bahar Karein To Jaiye K Nek Niyati Se Bulate Hain Aur Agar Woh Un Par Qaabiz Aur Dushman Maujood Hain, Hargiz Huzur Ko Bhalai Ki Taraf Bulate Hain, Main Andesha Karta Hoon K Yeh Bulane Wale Hi Muqabil Aayenge” Farmaya, “Main Istikhara Karunga”

آئینہ قیامت، صـ 35-36 ـ

07/08/2023

- 14

Imam Jannat Maqam Makkah Se Jaate Hain

Paayi Na Tegh E Ishq Se Humne Kahin Panah
Qurb E Haram Mein Bhi To Hain Qurbaniyon Mein Hum
60 Hijri Ka Pichhla Mahina Hai Aur Haj Ka Zamana, Dunya Ke Doordaraz Hisson Se Lakhon Musalman Watan Chhorhkar, Azeezon Se Munh Modkar Apne RAB Jalla Jalaluhu Ke Muqaddas Aur Barguzeeda Ghar Ki Ziyarat Se Musharraf Hone Aaye Hain, Dilon Mein Farhat Ne Ek Josh Paida Kar Diya Hai Aur Seenon Mein Suroor Lehre Maar Raha Hai K Yehi Ek Raat Beech Mein Hai, Subah 9vin Tareekh Hai Aur Maheenon Ki Mehnat Wusool Hone, Muddaton Ke Armaan Nikalne Ka Mubarak Din Hai, Musalman Khaana E Kaa’ba Ke Gird Phir Phirkar Nisaar Ho Rahe Hain, Makkah Muazzama Mein Har Waqt Ki Chahal Pahal Ne Din Ko Roz E Eid Aur Raat Ko Shab E Bara’at Ka Aaina Bana Diya Hai, Kaaba Ka Dilkash Banao Kuchh Aisi Dil Aawez Adaon Ka Samaan Apne Saath Liye Huye Hai K Lakhon Ke Jamghat Mein Jise Dekhiye Shauq Bhari Nigahon Se Uski Taraf Dekh Raha Hai, Ma’loom Hota Hai K Siyah Parde Ke Chilman Se Kisi Mehboob Dilnawaz Ki Pyari Pyari Tajalliyan Chhan Chhankar Nikal Rahi Hain Jinki Hoshruba Taaseeron, Dilkash Kaifiyaton Ne Yeh Majlis Aaraiyan Ki Hain. Aashiqan E Dildada Furqat Ki Museebatein, Judai Ki Takleefein Jhelkar Jab Khush Qismati Se Apne Pyare Ma’shooq Ke Aastana Par Haziri Ka Mauqa Paate Hain, Adab Wa Shauq Ki Uljhan, Musarrat Aamez Beqaraari Ki Khush Aaind Tasweer Unki Aankhon Ke Saamne Kheench Deti Hai Aur Woh Apni Chamakti Huyi Taqdeer Par Tarah Tarah Se Naaz Karte Aur Be Ikhtiyaar Keh Uthte Hain,
Maqam E Wajd Hai Ae Dil! K Koo E Yaar Mein Aaye
Bade Darbar Mein Pahunche, Badi Sarkar Mein Aaye
Gharaz Aaj Ka Yeh Dhoom Dhaami Jalsa Jo Ek Gharaz E Mushtarak Ke Saath Apne Mehboob Ke Dar E Daulat Par Hazir Hai, Apni Bharpoor Kamyaabi Par Intiha Se Zyada Musarrat Zahir Kar Raha Hai Magar Imam Mazloom Ke Muqaddas Chehre Se Ma’loom
Hota Hai K Yeh Kisi Khaas Wajah Se Is Majma’ Mein Shareek Nahin Reh Sakte Ya Unke Saamne Se Kisi Ne Parda Uthakar Kuchh Aisa Aalam Dikha Diya Hai K Unki Muqaddas Nigah Ko Is Mubarak Manzar Ki Taraf Dekhne Aur Idhar Mutawajja Hone Ki Fursat Hi Nahin.

آئینہ قیامت، صـ 33-35 ـ

07/08/2023

- 13

Jab Yeh Haalat Dekhi, Ibn E Ash’as Ne Kaha K “Aapke Liye Amaan Hai, Na Aap Qatl Kiye Jayein, Na Koi Gustakhi Ho” Muslim Mazloom Radi ALLAHU Ta’ala Anhu Thak Kar Deewar Se Peeth Lagakar Baith Gaye, Khachchar Sawari Ke Liye Hazir Hua, Us Par Sawar Kiye Gaye, Ek Ne Talwar Huzur Ke Haath Se Le Li, Farmaya, “Yeh Pehla Makr Hai” Ibn E Ash’as Ne Kaha’ “Kuchh Khauf Na Kijiye” Farmaya, “Woh Amaan Kidhar Gayi” Phir Rone Lage. Ek Shakhs Bola, “Tum Jaisa Bahadur Aur Roye!” Farmaya, “Apne Liye Nahin Rota Hoon, Rona Husain Aur Aal E Husain Ka Hai K Woh Tumhare Itminan Par Aate Honge Aur Unhein Is Makr Wa Bad Ahadi Ki Khabar Nahin” Phir Ibn E Ash’as Se Farmaya, “Main Dekhta Hoon K Tum Mujhe Panah Dene Se Aajiz Rahoge Aur Tumhari Amaan Kaam Na Degi Agar Ho Sake To Itna Karo K Apne Paas Se Koi Aadmi Imam Husain Ke Paas Bhejkar Mere Haal Ki Ittila’ De Do K Woh Wapas Jayein Aur Koofiyon Ke Fareb Mein Na Aayein”
Jab Muslim Radi ALLAHU Ta’ala Anhu Ibn Ziyad Bad Nihad Ke Paas Laye Gaye, Ibn E Ash’as Ne Kaha, “Main Inhein Amaan De Chuka Hoon” Woh Khabees Bola, “Tujhe Amaan Dene Se Kya Ta’lluq, Humne Tujhe Inke Laane Ko Bheja Tha, Na K Amaan Dene Ko” Ibn E Ash’as Chup Rahe, Muslim Us Shiddat E Mehnat Aur Zakhmon Ki Kasrat Mein Pyase The, Thande Paani Ka Ek Ghada Dekha, Farmaya, “Mujhe Ismein Se Pila Do” Ibn E Amr Bahili Bola, “Dekhte Ho Kaisa Thanda Hai, Tum Ismein Se Ek Boond Na Chakhne Paoge Yahan Tak K Jahannam Mein Aab E Garam Piyo” Imam Muslim Ne Farmaya, “O Sang Dil! Durusht Khoo! Aab E Hameem Wa Naar E Jaheem Ka To Mustahiq Hai” Phir Ammara Ibn E Uqba Ko Taras Aaya, Thanda Paani Mangakar Pesh Kiya, Imam Ne Peena Chaha, Pyala Khoon Se Bhar Gaya, Teen Baar Aisa Hi Hua, Farmaya, “KHUDA Ko Hi Manzoor Nahin”
Jab Ibn E Ziyad Bad Nihad Ke Saamne Gaye, Use Salaam Na Kiya, Woh Bhadka Aur Kaha, “Tum Zaroor Qatl Kiye Jaoge” Farmaya, “Tu Mujhe Wasiyat Kar Lene De” Usne Ijazat Di. Muslim Mazloom Radi ALLAHU Ta’ala Anhu Ne Amr Ibn E Saad Se Farmaya, “Mujh Mein Tujh Mein Qarabat Hai Aur Mujhe Tujhse Ek Poshida Haajat Hai” Us Sang Dil Ne Kaha, “Main Sunna Nahin Chahta” Ibn E Ziyad Bola, “Sun Le K Yeh Tere Chacha Ki Aulaad Hain” Woh Alag Le Gaye, Farmaya, “Koofa Mein Maine 700 Rupaye Qarz Liye Hain, Woh Ada Kar Dena Aur Baa’d E Qatl Mera Janaza Ibn E Ziyad Se Lekar Dafn Kara Dena Aur Imam Husain Ke Paas Kisi Ko Bhejkar Mana’ Kara Bhejna” Ibn E Saad Ne Ibn E Ziyad Se Yeh Sab Baatein Bayan Kar Di(n). Woh Bola, “Kabhi Khiyanat Karne Wale Ko Bhi Amanat Supurd Ki Jaati Hai” Yaani Unhone Poshida Rakhne Ko Farmaya, Tune Zahir Kar Di(n), Apne Maal Ka Tujhe Ikhtiyar Hai Jo Chaahe Kar Aur Husain Agar Hamara Qasd Na Karenge, Hum Unka Na Karenge Warna Hum Unse Baaz Na Rahenge, Raha Muslim Ka Janaza, Ismein Hum Teri Sifarish Sunne Wale Nahin, Phir Hukm Pakar Jallaad Zalim Unhein Bala E Qasr Le Gaya, Imam Muslim Barabar Tasbeeh Wa Istighfaar Mein Mashghool The Yahan Tak K Shaheed Kiye Gaye Aur Unka Sar Mubarak Yazeed Ke Paas Bheja Gaya.

آئینہ قیامت، صـ 31-33 ـ

07/08/2023

- 12

Koofiyon Ki Shararat Aur Imam Muslim Ki Shahadat

Jab Ahle Koofa Ko Yazeed Khabees Ki Takht Nasheeni Aur Imam Se Bai’at Talab Kiye Jane Aur Imam Ke Medeena Chhorhkar Makkah Tashreef Le Aane Ki Khabar Pahunchi, Fareb Dahi Wa Ayyari Ki Purani Ravish Yaad Aayi. Sulaiman Ibn E Surad Khuzai Ke Makan Par Jama’ Huye, Hum Mashwara Hokar Arzi Likhi K Tashreef Laiye Aur Humko Yazeed Ke Zulm Se Bachaiye. 150 Arziyan Jama’ Ho Jane Par Imam Ne Tehreer Farmaya K “Apne Motamad Chachazaad Bhai Muslim Ibn E Aqeel Ko Bhejta Hoon, Agar Yeh Tumhara Mu’amla Theek Dekhkar Ittila’ Denge To Hum Jald Tashreef Layenge”
Hazrat Muslim Koofa Pahunche, Idhar Koofiyon Ne Imam Ke Haath Par Bai’at Karne Aur Imam Ko Madad Dene Ka Waa’da Kiya Balki 18000 Dakhil E Bai’at Bhi Ho Gaye Aur Hazrat Muslim Ko Yahan Tak Baaton Mein Lekar Itminan Dilaya K Unhone Imam Ko Tashreef Laane Ki Nisbat Likha.
Idhar Yazeed Paleed Ko Koofiyon Ne Khabar Di K Husain Ne Muslim Ko Bheja Hai. Koofa Ke Hakim Nauman Ibn E Basheer Unke Saath Narmi Ka Bartao Karte Hain, Koofa Ka Bhala Manzoor Hai To Apni Tarah Koi Zabaradast Zalim Bhej.
Usne AbdULLAH Ibn E Ziyad Ko Haakim Banakar Rawana Kiya Aur Kaha K “Muslim Ko Shaheed Kare Ya Koofa Se Nikaal De” Jab Yeh Mardak Koofa Pahuncha Imam Radi ALLAHU Ta’ala Anhu Ke Humrah 18000 Ki Jama’at Payi, Ameeron Ko Dhamkane Par Muqarrar Kiya, Kisi Ko Dhamki Di, Kisi Ko Lalach Se Toda Yahan Tak K Thodi Der Mein Imam Muslim Ke Paas Sirf 30 Aadmi Reh Gaye, Muslim Yeh Dekhkar Masjid Se Bahar Nikle K Kahin Panah Lein, Jab Darwaze Se Bahar Aaye, Ek Bhi Saath Na Tha,
إنا لله و إنا إليه رٰجعون
Aakhir Ek Ghar Mein Panah Li. Ibn E Ziyad Ne Yeh Khabar Pakar Fauj Bheji, Jab Imam Muslim Ko Aawazein Pahunchi, Talwar Lekar Uthe Aur Un Rubah Manishon Ko Makan Se Bahar Nikaal Diya, Kuchh Der Baa’d Phir Jama’ Hokar Aaye, Sher E KHUDA Ka Bhateeja Phir Tegh Ba Kaf Utha Aur Aan Ki Aan Mein Un Shighalon Ko Parishan Kar Diya, Kayi Baar Aisa Hi Hua, Jab Un Namardon Ka Is Akele Mard E KHUDA Par Kuchh Bas Na Chala, Majboor Hokar Chhaton Par Charh Gaye, Patthar Aur Aag Ke Lauke Phenkna Shuru’ Kiye, Sher E Mazloom Ka Tan Un Zalimon Ke Pattharon Se Khoona Khoon Tha Magar Woh Tegh Bar Kaf Wa Kaf Bar Lab Hamla Farmata Bahar Nikalta Aur Rah Mein Jo Giroh Khade The Un Par Uqaab E Azaab Ki Tarah Toota.

آئینہ قیامت، صـ 30-31 ـ

30/07/2023

غلافِ کعبہ تری عظمتوں کا کیا کہنا
عروسِ حُسنِ ازل کا لباسِ نور ہَے تُو
گناہگار تِرا کیوں نہ چوم لیں دامن
امینِ رازِ وفا، جلوہ زارِ طُور ہے تُو❤
🥀🍃💕🤍💕🌿✨️. . . .





#رِحمتہُ_اللّعَالمِین_مُحمدﷺ

30/07/2023

- 11

Ek Aaj Ka Din Hai K Imam Mazloom Se Medeena Chhoot’ta Hai, Medeena Hi Nahin Balki Dunya Ki Sab Rahatein, Tamaam Aasaishein, Ek Ek Karke Rukhsat Hoti Aur Khairabad Kehti Hain. Yeh Sab Darkinaar, Naaz Uthane Wali Maa Ka Pados, Maa Jaye Bhai Ka Humsaya Aur Sabse Badhkar Imam Par Apna Beta Qurban Kar Dene Wale Jad E Kareem Ka Qurb, Kya Yeh Aisi Cheezein Hain Jinki Taraf Se Aasani Ke Saath Aankhein Pher Li Jayein, Aasani Se Aankhein Pherni Kaisi, Agar Imam Ko Medeena Na Chhorhne Par Qatl Kar Diya Jata To Qatl Ho Jana Manzoor Farmate Aur Medeena Se Bahar Paon Na Nikaalte Magar Is Majboori Ka Kya Ilaaj K Imam Ke Naaqa Ko Qaza Muhaar Pakde Us Maidan Ki Janib Liye Jaati Jahan Qismat Ne Pardesiyon Ke Qatl Hone, Pyason Ke Shaheed Kiye Jaane Ka Samaan Jama’ Kiya Hai. Medeene Ki Zameen Jis Par Aap Ghutnon Chale, Jisne Aapke Bachpan Ki Baharein Dekhi(n) Jis Par Aapki Jawani Ki Karamatein Zahir Huyin, Apne Sar Par Khaak E Hasrat Daalti Aur Pardes Jane Wale Ke Pyare Pyare Nazuk Paon Se Lipat Lipatkar Zaban E Haal Se Arz Kar Rahi Hai K Ae Fatima Ke God Ke Singhaar! Kaleje Ki Tek! Zindagi Ki Bahar! Kahan Ka Irada Farma Diya, Woh Kaunsi Sarzameen Hai Jise Yeh Izzat Wale Paon Jo Meri Aankhon Ke Taare Hain, Sharf Bakhshne Ka Qasd Farmate Hain
اے تماشا گاہ عالم روئے تو ـــ تو کجا بہر تماشا می روی
Jis Qadar Yeh Barkat Wala Qaafila Nigah Se Door Hota Jata Hai Usi Qadar Peechhe Reh Jaane Wali Pahadiyan Aur Masjid E Nabvi Ke Minare Sar Utha Uthakar Dekhne Ki Khwahish Zyada Zahir Karte Hain, Yahan Tak K Jaane Wale Nigahon Se Ghayab Ho Gaye Aur Medeena Ki Aabadi Par Hasrat Bhara Sannata Chha Gaya.
Raaste Mein AbdULLAH Ibn Mutee’ Mile, Arz Ki, “Kahan Ka Qasd Farma Diya” Farmaya, “Filhaal Makkah Ka” Arz Ki, “Koofe Ka Azm Na Farmaya Jaye, Woh Bada Be Dhanga Shahar Hai, Wahan Aapke Walid Majid Shaheed Huye, Aapke Bhai Se Dagha Ki Gayi, Aap Makkah Ke Siwa Kahin Ka Iraada Na Farmayein, Agar Aap Shaheed Ho Jayenge To KHUDA Ki Qasam! Hamara Thikana Na Laga Rahega, Hum Sab Ghulam Bana Liye Jayenge” Bil Aakhir Huzur Makkah Pahunch Kar Saatvin Zil Hijja Tak Aman Wa Amaan Ke Saath Qiyam Farma Rahe”

آئینہ قیامت، صـ 28-30 ـ

30/07/2023

- 10

Sha’ban Ki Chauthi Raat Ke Teen Pahar Guzar Chuke Hain Aur Pichhle Ke Naram Naram Jhonke Sone Walon Ko Thapak Thapak Kar Sula Rahe Hain, Sitaron Ke Sunhare Rang Mein Kuchh Kuchh Sapedi Zahir Ho Chali Hai, Andheri Raat Ki Tareeki Apna Daman Sametna Chahti Hai, Tamaam Shahar Mein Sannata Hai, Na Kisi Bolne Wale Ki Aawaz Kaan Tak Pahunchti Hai, Na Kisi Chalne Wale Ki Pehchal Sunayi Deti Hai, Shahar Bhar Ke Darwaze Band Hain, Haan Khandan E Nubuvat Ke Makanon Mein Is Waqt Jaag Ho Rahi Hai Aur Samaan E Safar Durust Kiya Ja Raha Hai, Zaroorat Ki Cheezein Bahar Nikaali Gayi Hain, Sawariyan Darwazon Par Tayyar Khadi Hain, Mahmil Kase Gaye Hain, Parde Ka Intizam Ho Chuka Hai, Idhar Imam Ke Bete, Bhai, Bhateeje, Ghar Wale Sawar Ho Rahe Hain, Udhar Imam Masjid E Nabvi Se Bahar Tashreef Laaye Hain, Mehrabon Ne Sar Jhuka Kar Tasleem Ki, Meenaron Ne Khade Hokar Ta’zeem Di, Qaafila Salaar Ke Tashreef Laate Hi Nabi Zaadon Ka Qaafila Rawana Ho Gaya Hai.
Medeena Mein Ahlebait Se Hazrat Sughra, Imam Mazloom Ki Sahibzadi Aur Janab Muhammed Ibn E Hanfiya, Maula Ali Ke Bete Baaqi Reh Gaye.
ALLAHU Akbar! Ek Woh Din Tha K Huzur Sarwar E Aalam SalALLAHU Ta’ala Alaihi Wa Aalihi Wasallam Ki Kaafiron Ki Eeza Dahi Aur Takleef Rasani Ki Wajah Se Makkah Muazzama Se Hijrat Farmayi, Medeena Walon Ne Jab Yeh Khabar Suni, Dilon Mein Musarrat Aamez Umangon Ne Josh Maara Aur Aankhon Mein Shaadi E Eid Ka Naqsha Khinch Gaya, Aamad Aamad Ka Intizar Logon Ko Aabadi Se Nikaal Pahadon Par Le Jaata, Muntazir Aankhein Makkah Ki Rah Ko Jahan Tak Unki Nazar Pahunchti, Taktaki Baandhkar Takti(n) Aur Mushtaq Dil Har Aane Wale Ko Door Se Dekhkar Chaunk Padte, Jab Aaftab Garam Ho Jaata, Gharon Par Wapas Aate, Isi Kaifiyat Mein Kayi Din Guzar Gaye, Ek Din Aur Roz Ki Tarah Waqt Be Waqt Ho Gaya Tha Aur Intizar Karne Wale Hasraton Ko Samjhate, Tamannaon Ko Taskeen Dete Palat Chuke The K Ek Yahoodi Ne Balandi Se Aawaz Di, “Ae Rah Dekhne Walo! Palto Tumhara Maqsood Bar Aaya Aur Tumhara Matlab Poora Hua” Is Sada Ke Sunte Hi Woh Aankhein Jin Par Abhi Hasrat Aamez Hairat Chha Gayi Thi, Ashk E Shaadi Barsa Chali(n) Woh Dil Jo Mayusi Se Murjha Gaye The, Taazgi Ke Saath Josh Maarne Lage, Beqararana Peshwai Ko Badhe, Parwana Waar Qurban Hote Aabadi Tak Laaye, Ab Kya Tha Khushi Ki Gharhi Aayi, Munh Maangi Murad Paayi, Ghar Ghar Se Naghmaat E Shadi Ki Aawazein Baland Huyin, Pardanasheen Ladkiyan Daf Bajati, Khushi Ke Lehjon Mein Mubarakbad Ke Geet Gaati Nikal Aayin
طلع البدر علينا ـــ من ثنيات الوداع
وجبت الشكر علينا ـــ ما دعا لله داع
Bani Najaar Ki Ladkiyan Gali Koonchon Mein Is Sha’ir Se Izhar E Musarrat Karti Huyin Zahir Huyin
نحن جوار من بنى النجار ـــ يا حبذا محمد من جار
Gharaz Musarrat Ka Josh Tha, Dar Wa Deewar Se Khushi Tapki Padti Thi.

آئینہ قیامت، صـ 26-28 ـ

30/07/2023

- 9

Waleed Ke Paas Marwan Ko Baitha Paaya, Salaam Alaik Karke Tashreef Rakhi, Waleed Ne Khat Padhkar Sunaya, Wahi Mazmoon Paya Jo Huzur Ke Khyaal Shareef Mein Aaya Tha. Bai’at Ka Haal Sunkar Irshad Hua, “Mujh Jaise Chhupkar Bai’at Nahin Karte, Sabko Jama’ Karo, Bai’at Lo Phir Humse Kaho” Waleed Ne Ba Nazar E Aafiyat Pasandi Arz Ki, “Behtar! Tashreef Le Jaiye” Marwan Bola, “Agar Is Waqt Inhein Chhorh Dega Aur Bai’at Na Lega To Jab Tak Bahut Si Jaanon Ka Khoon Na Ho Jaye, Aisa Waqt Haath Na Aayega, Abhi Rok Le, Bai’at Kar Lein To Khair Warna Gardan Maar De” Yeh Sunkar Imam Ne Farmaya, “Ibnuz Zarqa! Tu Ya Woh, Kya Mujhe Qatl Kar Sakta Hai. KHUDA Ki Qasam Tune Jhoot Kaha Aur Paajipan Ki Baat Ki” Yeh Farma Kar Wapas Tashreef Laaye.
Marwan Ne Waleed Se Kaha, “KHUDA Ki Qasam! Ab Aisa Mauqa Na Milega” Waleed Bola, “Mujhe Pasand Nahin K Bai’at Na Karne Par Husain Ko Qatl Karun, Mujhe Tamaam Jahan Ke Mulk Wa Maal Ke Badle Mein Bhi Husain Ka Qatl Manzoor Nahin, Mere Nazdeek Husain Ke Khoon Ka Jisse Mutalaba Hoga Woh Qiyamat Ke Din KHUDA E Qahhar Ke Saamne Halki Tol Wala Hai” Marwan Ne Munafiqana Taur Par Keh Diya, “Tune Theek Kaha”
Dobara Aadmi Aaya, Farmaya, “Subah Hone Do” Aur Qasd Farma Liya K Raat Mein Makkah Ke Iraade Se Ma’ Ahl Wa Ayaal Safar Farmaya Jayega.
Yeh Raat Imam Ne Apne Jad E Kareem Ke Rauza E Munawwara Mein Guzari K Aakhir To Firaaq Ki Thehrti Hai, Chalte Waqt To Apne Jad E Kareem Ki Muqaddas God Se Lipat Lein Phir KHUDA Jaane Zindagi Mein Aisa Waqt Mile Ya Na Mile. Imam Aaram Mein The K Khwaab Dekha, Huzur Pur_Noor SalALLAHU Ta’ala Alaihi Wa Aalihi Wasallam Tashreef Laaye Hain Aur Imam Ko Kaleje Se Lagakar Farmate Hain, “Husain! Woh Waqt Qareeb Aata Hai K Tum Pyase Shaheed Kiye Jao Aur Jannat Mein Shaheedon Ke Bade Darje Hain” Yeh Dekhkar Aankh Khul Gayi, Uthe Aur Rauza E Aqdas Ke Saamne Rukhsat Hone Ko Hazir Huye.
Musalamano! Hayat E Dunyavi Mein Imam Ki Yeh Haziri Pichhli Haziri Hai, Salaat Wa Salaam Arz Karne Ke Baa’d Sar Jhuka Kar Khade Ho Gaye Hain, Ghum E Firaaq Kaleje Mein Chutkiyan Le Raha Hai, Aankhon Se Lagataar Aansu Jaari Hain, Riqqat Ke Josh Ne J**m E Mubarak Mein Raa’sha Paida Kar Diya Hai, Beqaraariyon Ne Mehshar Barpa Kar Rakha Hai, Dil Kehta Hai Sar Jaaye Magar Yahan Se Qadam Na Uthaiye, Subah Ke Khatke Ka Taqaza Hai Jald Tashreef Le Jaiye, Do Qadam Jaate Hain Aur Phir Palat Aate Hain, Hub E Watan Qadmon Par Lot’ti Hai K Kahan Jaate Ho, Ghurbat Daman Kheenchti Hai Kyun Der Lagate Ho, Shauq Ki Tamanna Hai K Umr Bhar Na Jaiye, Majbooriyon Ka Taqaza Hai Dum Bhar Na Theharne Payein.

آئینہ قیامت، صـ 25-26 ـ

Want your public figure to be the top-listed Public Figure in Shimoga?
Click here to claim your Sponsored Listing.

Videos (show all)

I have reached 2.5K followers! Thank you for your continued support. I could not have done it without each of you. 🙏🤗🎉

Category

Website

Address

Shimoga

Other Public Figures in Shimoga (show all)
Divya Divya Divya Divya
Shimoga

Hi i am divya please follow me My official page

Drusthi vlogs Drusthi vlogs
Madhan G 4th Main Road Rml Nagar Near Tempo Stand
Shimoga, 577201

Travel/Food/Lifestyle

ammu ballu afficial 770 ammu ballu afficial 770
Neethu Shikaripura
Shimoga, 577427

fat2fit helth care shivamogga Shikaripura

Dr H V Kotturesha Rasthapuramath Dr H V Kotturesha Rasthapuramath
Shimoga

• Founder & Managing Director Kottureshwara Hospital and Research Centre, Shimoga • Karnataka Rajyotsava Awardee 2008 • President NNF Karnataka 2020-22 • President IAP Karnataka 20...

Shiva Rajput support Shiva Rajput support
बाराबंकी
Shimoga

Shorts Films

sumanth_p_gowda20 sumanth_p_gowda20
Holehonuru Road Gurupura Shivamogga.
Shimoga, 577201

All dog boarding specialists shivamogga 577201.

Kaleem Pasha Shimoga Kaleem Pasha Shimoga
Shimoga, 577201

Coming Together is a Beginning' Keeping Together is Progress' Working Together is Success�

Chairman, Department of Wildlife and Management, Kuvempu University Chairman, Department of Wildlife and Management, Kuvempu University
Shimoga, 577451

Official account of Chairman, Department of Wildlife and Management, Kuvempu University, Shivamogga.

Muthuram Majhi Muthuram Majhi
Shimoga

Number one Kannada Number one Kannada
Bhadravathi
Shimoga, 577301

comedy movie fast food 🥝 video s

giriraj_gowda giriraj_gowda
Gandhinagar
Shimoga, 577201

Simple veg recipes Simple veg recipes
Shimoga, 577201

Simple Veg Recipes https://www.youtube.com/c/SimpleVegRecipes